hijr ke bojh ko dhona bhi nahin aata hai ab mujhe phut ke rona bhi nahin aata hai ek sitam ye hai tujhe bhul nahin pate hain aur kisi aur ka hona bhi nahin aata hai un ke hathon se hi ghurbat ne kitaben chhini jin ke hathon mein khilauna bhi nahin aata hai pyar ke bagh mein nafrat ko ugaun kaise mujh ko to bij ye bona bhi nahin aata hai siskiyan sun ke meri raat padosi ne kaha kya tujhe raat mein sona bhi nahin aata hai us ko makhmal ke bhi bistar se shikayat hai 'malik' mere hisse mein bichhauna bhi nahin aata hai