dard pita hun muskuraata hun

dard pita hun muskuraata hun
aag ko phul se bujhata hun

khud pe ilzam le liye sare
par tere nam ko chhupata hun

jaane mujh ko sanak ye kaisi hai
nam likhta hun aur mitata hun

kaun si chiz kho gai meri
jaane kya dhundhne ko jata hun

ghair ki guftugu mein jab tera
zikr aae to chaunk jata hun

ab to aadat hai in andheron ki
main ujalon se khauf khata hun

ek arse se jo paraya hai
rabt us se bhi main nibhata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close