dastan-e-ulfat mein kaisi ye ghaDi aai

dastan-e-ulfat mein kaisi ye ghadi aai
raqs mein hai parwana khauf mein tamashai

is jahan ke maktab ke kuchh sabaq nirale the
masale ulajhne par zindagi samajh aai

un se wasl ke lamhe mukhtasar se the lekin
dil mein un ki yaadon ki gunjti hai shahnai

umr dhalne par aise dur ho gae apne
jaise sham hote hi gum ho jae parchhai

tum ne us ke hathon aaj kya payam bheja hai
kyon laja rahi hai yun muskura ke purwai

ajnabi hain chehre par main nahin hun begana
teri meri ruhon ki janmon ki shanasai

un labon ki larzish ki har ada qayamat hai
lafz un ke jadu hain lams hai karishmai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close