dard se chur hua jata hai zakhm nasur hua jata hai lut kar chain-o-sukun chal dena un ka dastur hua jata hai jis tarah tha wo mere dil ke qarib utna hi dur hua jata hai raat gahwara-e-zulmat thi magar din bhi be-nur hua jata hai main to musa bhi nahin lekin wo jalwa-e-tur hua jata hai khud-numai ki hawas mein insan kitna majbur hua jata hai pahle badnam-e-zamana tha 'majid' ab to mashhur hua jata hai