dard se jaan churaate hue dar lagta hai dil ko viran banate hue dar lagta hai chaar aansu sar-e-mizhgan to koi bar nahin gham ki tauqir ghatate hue dar lagta hai log to baat ka afsana bana dete hain is liye lab bhi hilate hue dar lagta hai apni hasti se na ho jaun kahin begana aap se rabt badhate hue dar lagta hai husn-e-be-parda ke jalwe bahut arzan hain magar tohmat-e-did uthate hue dar lagta hai azmat-e-dair-o-haram ka na bharam khul jae sar tere dar pe jhukate hue dar lagta hai jis ke har lafz mein hon gham ki karahen 'mansha' aisa afsana sunate hue dar lagta hai