hujum-e-be-khudi mein gham ki taswiren nazar aain mujhe shishe mein jab rindon ki taqdiren nazar aain mere zehn-e-rasa ne jazb kar lin hausla pa kar rukh-e-gul par mashiyyat ki jo tahriren nazar aain dar-e-zindan se chhut kar bhi wahi hai silsila yani ki ek zanjir tuti lakh zanjiren nazar aain chaman wale jinhen jaan-e-chaman kahte the wo kaliyan mujhe to dagh-ha-e-dil ki taswiren nazar aain na jaane kitne parde darmiyan hail rahe lekin shab-e-wada tasawwur mein wo tanwiren nazar aain wahin par himmat-e-insaniyat ne sans toda hai jahan taqdir se marub tadbiren nazar aain koi afsana samjhe ya bayan-e-waqia samjhe mujhe ek khwab-e-nadida ki tabiren nazar aain wo insan khud-shanasa-e-rumuz-e-dil nahin 'maikash' ki jis ko zarf-e-rindana mein taqsiren nazar aain