dard tera mere sine se nikala na gaya ek muhajir ko madine se nikala na gaya main tere sath guzare hue din jita raha ek pal bhi tujhe jine se nikala na gaya ek moti bhi na ubhra meri aankhon mein kabhi tere bin kuchh bhi dafine se nikala na gaya jab nikala hai mujhe dil se to rote kyun ho tum se kanta bhi qarine se nikala na gaya luqma-e-tar na milega tere nazuk tan ko gar mere khun pasine se nikala na gaya main ne manga tha bas ek dhup ka tukda 'azim' wo bhi sawan ke mahine se nikala na gaya