aa jae na raat kashtiyon mein phenko na charagh paniyon mein ek chadar-e-gham badan pe le kar dar dar phira hun sardiyon mein dhagon ki tarah ulajh gaya hai ek shakhs meri buraiyon mein us shakhs se yun mila hun jaise gir jae nadi samundaron mein lohaar ki bhatti hai ye duniya bande hain azab ki ruton mein ab un ke sire kahan milenge tute hain jo khwab zalzalon mein mausam pe zawal aa raha hai khilte the gulab khidkiyon mein andar to hai raj rat-jagon ka bahar ki faza hai aandhiyon mein kohra sa bhara hua hai 'khawar' aankhon ke udas jhonpadon mein