dard wale ho to phir aisa karo sath kuchh hamdard bhi rakkha karo apna begana na tum dekha karo har kisi se maslahat barta karo dusron ke dard ki chhodo miyan pahle apne dard ka chaara karo go bulandi ho ki pasti har jagah zehn-o-dil donon khule rakha karo is qadar khamoshiyan achchhi nahin log kya sochenge kuchh socha karo jis ko jo hona hai ho hi jaega kaun kyon kaise hai kam socha karo saf dikh jaenge chehre ke nuqush aaina nazdik se dekha karo ham-safar honge to bichhdenge zarur is liye ek ek safar tanha karo har-nafas 'asi' khuda ki den hai har-nafas ek chaukasi barta karo