hawa ne ism kuchh aisa padha tha diya diwar par chalne laga tha main sehr-e-khwab se uttha to dekha koi khidki mein suraj rakh gaya tha khada tha muntazir dahliz par main mujhe ek saya milne aa raha tha tere aane se ye uqda khula hai main apne aap mein rakkha hua tha sabhi lafzon se taswiren banain meri poron mein manzar rengta tha mujhe tere iradon ki khabar thi so gahri nind mein bhi jagta tha main jab maidan khali kar ke aaya mera dushman akela rah gaya tha sabhi ke hath mein patthar the 'azar' hamare hath mein ek aaina tha