darguzar jitna kiya hai wahi kafi hai mujhe ab tujhe qatl bhi kar dun to muafi hai mujhe masala aise koi hal to na hoga shayad sher kahna hi mere gham ki talafi hai mujhe dafatan ek nae ehsas ne chaunka sa diya main to samjha tha ki har sans izafi hai mujhe main na kahta tha dawaen nahin kaam aaengi jaanta tha teri aawaz hi shafi hai mujhe is se andaza lagao ki main kis haal mein hun ghair ka dhyan bhi ab wada-khilafi hai mujhe wo kahin samne aa jae to kya ho 'jawwad' yaad hi us ki agar sina-shigafi hai mujhe