badh gaya baada-e-gul-gun ka maza aakhir-e-shab aur bhi surkh hai rukhsar-e-haya aakhir-e-shab manzilen ishq ki aasan huin chalte chalte aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aakhir-e-shab khatkhata jata hai zanjir-e-dar-e-mai-khana koi diwana koi aabla-pa aakhir-e-shab sans rukti hai chhalakte hue paimane mein koi leta tha tera nam-e-wafa aakhir-e-shab gul hai qindil-e-haram gul hain kalisa ke charagh su-e-paimana badhe dast-e-dua aakhir-e-shab hae kis dhum se nikla hai shahidon ka julus jurm chup sar-ba-gareban hai jafa aakhir-e-shab isi andaz se phir subh ka aanchal dhalke isi andaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab