dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya sadaon ki kami thi kya jo tu bahar nahin aaya agar hai daulaton mein dam kharido tum mera saya main wo baiju jo akbar ke bulane par nahin aaya bahut mitha sa lagta hai teri aankhon ka pani kyon teri aankhon ke hisse kya kabhi sagar nahin aaya hazaron log bas ye jism chhu kar laut jate hain hua arsa koi is ruh ke andar nahin aaya hamare gham ka paimana hai ab to ausatan itna kabhi mausam bahaaron ka ziyaada-tar nahin aaya