sarson ke kheton mein apne kaghaz dhani karte karte ghazlen sari likkhi hum ne khun ko pani karte karte majburi ke chawal bhune lachaari do mutthi dali hum ne khaya gham ko apne phir gud-dhani karte karte is duniya mein jo bhi bhaya us ko hum ne khud sa samjha ek arsa bita hai hum ko ye nadani karte karte kyon dariya bhar misra-e-ula us ki mayyat par tha roya jis shair ka dam nikla tha misra-e-sani karte karte pahle un se duri rakkhi phir khud hi tha izhaar kiya aise dil ne chaha un ko aana-kani karte karte sab ke man ki karte karte jaane biti kitni sadiyan hum ko to jina tha yaro bas man-mani karte karte gham ke mausam mein kyon kar li hum ne in ghazlon se yari ab to sari umr kategi ashk-bayani karte karte