darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai yahan to phir hawa ki barhami mahsus hoti hai wo ab bhi guftugu karta hai pahle ki tarah lekin zara si barf lahje mein jami mahsus hoti hai tere wade ka saya ho to sahra ke safar mein bhi jhulasti lau hawa-e-shabnami mahsus hoti hai to kya main zabt ke mear par pura nahin utra to kya meri in aankhon mein nami mahsus hoti hai na jaane teri haalat kya hai us ko dekh kar 'azhar' mujhe to dil ki dhadkan bhi thami mahsus hoti hai