apne pahlu se wo ghairon ko utha hi na sake un ko hum qissa-e-gham apna suna hi na sake zehan mera wo qayamat ki do-alam pe muhit aap aaise ki mere zehan mein aa hi na sake dekh lete jo unhen to mujhe rakhte mazur shaikh-sahib magar us bazm mein ja hi na sake aql mahngi hai bahut ishq khilaf-e-tahzib dil ko is ahd mein hum kaam mein la hi na sake hum to khud chahte the chain se baithen koi dam aap ki yaad magar dil se bhula hi na sake ishq kaamil hai usi ka ki patangon ki tarah tab nazzara-e-masuq ki la hi na sake dam-e-hasti ki bhi tarkib ajab rakkhi hai jo phanse us mein wo phir jaan bacha hi na sake mazhar-e-jalwa-e-jaanan hai har ek shai 'akbar' be-adab aankh kisi samt utha hi na sake aisi mantiq se to diwangi behtar 'akbar' ki jo khaliq ki taraf dil ko jhuka hi na sake