dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila lekin mujhe nasib se kam bhi nahin mila phir ungliyon ko khun mein dubona pada hamein jab hum ko mangne pe qalam bhi nahin mila sach bolne ki rah mein tanha hamin mile is raste mein shaikh-e-haram bhi nahin mila main ne to sari umr nibhai hai dosti wo mujh se kha ke meri qasam bhi nahin mila dil ko khushi bhi had se ziyaada nahin mili kase ke e'tibar se gham bhi nahin mila