junun se rah-e-khirad mein bhi kaam lena tha har ek khar se izn-e-khiram lena tha faraaz-e-dar pe daman kisi ka tham liya junun-e-shauq ko bhi intiqam lena tha hazar bar nataej se ho ke be-parwa usi ka nam liya jis ka nam lena tha ilaj-e-tishna-labi sahl tha magar saqi jo dast-e-ghair mein hai kab wo jam lena tha junun ki rah mein tadbir-e-sarkhushi ke liye bas ek walwala-e-tez-gam lena tha shikasta lakh thi kashti hazar tha tufan khayal mein koi daman to tham lena tha nasim ek rawish tak pahunch ke tham si gai ki na-shagufta kali ka payam lena tha shab-e-firaq mein bhi kuchh diye chamakne lagen nigah-e-shauq se itna to kaam lena tha hazar bar teri bazm mein hua mahsus liya jo ghair ne mujh ko wo jam lena tha main ek jura-e-masti pe sulh kyun karta mujhe to jam mein mah-e-tamam lena tha ghazab hua ki in aankhon mein ashk bhar aae nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha kisi ne aag lagai ho koi mujrim ho hamein to apne hi sar ittiham lena tha nigah-e-shokh yahi fath aur kuchh hoti jo gir rahe the unhen badh ke tham lena tha ye bazm-e-khas ka aish-e-do-roza kya hoga gham-e-awam se aish-e-dawam lena tha