dariya ki masafat ne zamin ka nahin chhoda yak-tarfa mohabbat ne kahin ka nahin chhoda sadiyon hui tahzib saza aur jaza ki ek sajda-e-sarmast ne din ka nahin chhoda taswir lagi rah gai diwar-e-khandar par jo rishta makan se tha makin ka nahin chhoda sau rup the wahdat mein bhi us para-sifat ke par hum ko but-e-dil ne yaqin ka nahin chhoda ushshaq chale aae hatheli pe liye sar wo husn-e-talab tha ki nahin ka nahin chhoda mahkum-o-tahi-dast jo haq mangne nikle phir takht bhi us takht-nashin ka nahin chhoda jab hathon se rukhsat huin mahbub duaen qatre ko bhi mehrab-e-jabin ka nahin chhoda