kisi se dushmani ki aur na yari adhuri zindagi hum ne guzari na manzar koi aankhon mein basaya na khushbu koi sanson mein utari dua ke lafz kankar ban gae hain mere andar hai kaisi sangsari shahar ki raunaqen achchhi bahut hain par apne ghar ki virani hai pyari wahi to jit ka ehsas hai ek jo bazi jaan kar hum ne hai haari hamein khadsha tha jis ke dubne ka usi ne naw sab ki par utari alaw jal rahe hain andar andar hui bahar hai shayad barf-bari 'hijab' aaya tha dil mein dhire dhire magar yak-lakht aai be-qarari