dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai aur dubte lamhat ki surat bhi wahi hai alfaz bhi likkhe hain wahi nok-e-qalam ne auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai kyun us ka sarapa na hua naqsh-ba-diwar jab main bhi wahi hun meri hairat bhi wahi hai kyun barf si padti hai kahin shahr-e-darun par jab muzhda-e-khurshid mein hiddat bhi wahi hai kyun dhundne nikle hain nae gham ka khazina jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai raste se meri jang bhi jari hai abhi tak aur panw tale zakhm ki wahshat bhi wahi hai ta-umr nigahon ke liye ek sa manzar sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai