daulat-e-dard sameTo ki bikharne ko hai

daulat-e-dard sameto ki bikharne ko hai
raat ka aakhiri lamha bhi guzarne ko hai

khisht-dar-khisht aqidat ne banaya jis ko
abr-e-azar usi ghar pe thaharne ko hai

kisht-e-barbaad se tajdid-e-wafa kar dekho
ab to dariyaon ka pani bhi utarne ko hai

apni aankhon mein wahi aks liye phirte hain
jaise aaina-e-maqsum sanwarne ko hai

jo duboegi na pahunchaegi sahil pe hamein
ab wahi mauj samundar se ubharne ko hai

kunj-e-tanhai mein khilta hai takhayyul mera
aur main khush hun ki ye gul phir se nikharne ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close