dariya ki tishnagi mein insan ki bebasi mein

dariya ki tishnagi mein insan ki bebasi mein
paya tujhe hai yarab dil ki shikastagi mein

teri kami satae har gham mein har khushi mein
rahta hai aaj bhi tu is aankh ki nami mein

shayad kabhi pade hon un par bhi panw tere
chuma hai pattharon ko hum ne teri gali mein

aankhen wo tere jaisi tujh sa hasin chehra
hum dhundte rahe hain tujh ko hi har kisi mein

mujh par khula nahin hai ye raaz-e-hast mera
kahne ko khak chhani hai dasht-e-agahi mein

roin bujha ke mujh ko phir gham-zada hawaen
main shama-e-akhiri thi is shab ki tirgi mein

ukta gai hun shayad patthar ki muraton se
lagta nahin hai ab ye dil bhi sanam-gari mein

qaid-e-hayat par dil diwana-war nache
masrur hai ki aaya teri supurdagi mein

kafir jo kah rahe the sab jaante the 'jina'
peshani naqsh-e-pa pe rakkhi thi be-khudi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close