ishq ne daera bana rakkha

ishq ne daera bana rakkha
raqs mein phir mujhe sada rakkha

nim-khwabida us ki aankhon pe
hosh walon ne sab luta rakkha

khana-e-dil mein dhadkanon ne sada
wird bas la ilaha ka rakkha

main ne puchha jo apne bare mein
us ne phulon mein aaina rakkha

dip rakkhe hain chaar samton mein
panchwen dar pe dil jala rakkha

hum ne ta-umr teri rahon mein
farsh-e-dil aur jaan bichha rakkha

ishq mein aashna paraston ne
ek sanam ek hi khuda rakkha

waqt-e-rukhsat tha mujh mein bain magar
qahqahe ne bharam mera rakkha

sang-bari mein wo bhi shamil tha
takht par jis ko tha bitha rakkha

nila padne laga badan mera
aastin mein ye tu ne kya rakkha

phir thaki haari ek khwahish ne
zanu-e-shab pe sar ko ja rakkha

us pe marti jo na to kya karti
jis ne apna mujhe sada rakkha

hum bhi taswir se nikal aae
us ne bhi bazuon ko wa rakkha

ruh ki be-qarari par tu ne
hath rakkha ki moajiza rakkha

kasa-e-dil mein ek sawali ne
chum kar ek naqsh-e-pa rakkha

mere malik ki mehrbani ne
mujh pe tauba ka dar khula rakkha

ek sukha hua shajar 'jina'
gham ne tere hara-bhara rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close