dariya mein tughyani hai basti basti pani hai aah ki jangal hain aabaad shahron mein virani hai mushkil se ab kya darna is mein hi aasani hai duniya ki kya chah karen duniya aani-jaani hai us ko to pachhtana hai jis ne dil ki mani hai main bhi man ka raja hun wo bhi dil ki rani hai ai dil us ko bhul bhi ja ye kaisi man-mani hai maut se 'gauhar' darna kya maut to ek din aani hai