dariyaon ko haal suna kar raqs kiya sahraon ki khak uda kar raqs kiya qais tumhaari sunnat aise zinda ki hathon mein kashkol utha kar raqs kiya qais mujhe is baat pe hairat hoti hai tu ne kaise dasht mein ja kar raqs kiya un logon ki haalat dekhne wali thi jin logon ne wajd mein aa kar raqs kiya jab meri aawaz na kanon tak pahunchi phir main ne tahrir mein aa kar raqs kiya nili chhat pe la-mahdud parinde the aaj kisi ne ashk baha kar raqs kiya bhed khula jis shakhs pe tere hone ka us ne tere qurb ko pa kar raqs kiya chhan chhana chhan chhan chhan chhan ki aai sada ghunghru pahne hosh ganwa kar raqs kiya 'mustahsan' main 'jami' hun 'mansur' nahin dilbar ko ashaar suna kar raqs kiya