nishan-e-zakhm pe nishtar-zani jo hone lagi lahu mein zulmat-e-shab ungliyan bhigone lagi hua wo jashn ki neze buland hone lage niyam tegh ki khanjar ke sath sone lagi jahan mein daud ke pahuncha tha wo ghaneri chhanw zara si der mein zar-o-qatar rone lagi nadi dubau na thi dubna pada lekin kinare pahuncha to sharmindagi dubone lagi sab apni pyas bujhane mein mahw the hama-tan hua ye phir ki hawa shoala-khez hone lagi badhae hath madad ko daraaz daston ne to apna bojh wo chyunti ki tarah dhone lagi kuchh aur surkh-ru ho kar uthe wo maqtal se ghata bhi utthi to daman ke dagh dhone lagi wo pir-zan jise kante nikalne the 'khalish' wo sahira ki tarah suiyan chubhone lagi