dariyaon mein rahte hue pyasa to nahin hun pyasa jo hai muddat se wo sahra to nahin hun kya jaaniye duniya mein teri hun ki nahin bhi rahte hue maujud main khoya to nahin hun wo sath mere chand sitara hai falak har ai dost shab-e-hijr mein tanha to nahin hun tum wahm-o-guman jaan ke anjaan na hona ek thos haqiqat hun main dhoka to nahin hun chahe to wo sahil se kare ek ishaara main dub raha hun abhi duba to nahin hun tha faisla is tark-e-wafadari ka baham tum bhul gae main tumhein bhola to nahin hun hairat se bhala kyon mujhe takta hai zamana ai parda-e-aflak tamasha to nahin hun