begana-e-qayud-e-bahaar-o-khizan rahe yarab mera junun-e-mohabbat jawan rahe ye bhi samajh saki hai na ab tak nigah-e-shauq tum ne kahan fareb diya aur kahan rahe duniya mein chaak-dil ko nahin puchhta koi kya jaane kitne ahl-e-junun be-nishan rahe us anjuman mein hum bhi pahunch to gae magar jab tak rahe mizaj-e-nazar par garan rahe kya kya jafaen ki hain har ek aarzu ke sath aur is tarah ki un pe wafa ka guman rahe ab yun karam na kar ki ba-in wasf-e-husn-o-naz shayad tujhe bhi ishq ka sauda garan rahe lene de apna nam bhi mujh ko ki mere baad tu bhi meri ghazal ke sabab jawedan rahe