darmandagi-e-ah-e-shab-gir ko kya kahiye ek nala-e-be-kas ki tasir ko kya kahiye mahrumi-e-qismat ki kije to shikayat kya taqdir to dushman hai taqdir ko kya kahiye jis bazm mein ulfat ko taqsir kaha jae us bazm ko kya kahiye taqsir ko kya kahiye jo tir ki ban jae ek juzw-e-dil-e-bismil paiwast-e-rag-e-jaan ho us tir ko kya kahiye jo husn mukammal tha us zehn-e-musawwir mein taswir mein utra hai taswir ko kya kahiye har sans pe tute hai ek ek kadi phir bhi hasti hai ki jakdi hai zanjir ko kya kahiye