zulf us ki meri zunnar hui jati hai be-khudi aur mazedar hui jati hai pad gae chashm-e-sitam-gar ke sharare hum par tab zakhmon ki pur-asrar hui jati hai shukr hai hum ko mohabbat ne bachae rakkha warna ye duniya to bimar hui jati hai wahshaton hi ki kashakash ka karishma hai ye ruh mitti ki bhi bedar hui jati hai aablon ne jo udai hai hansi zalim ki dasht ki khak bhi gulzar hui jati hai aaj phir us ki tamannaon ne aankhen kholin aaj virani chaman-zar hui jati hai is ada se wo utar aaya meri dhadkan mein zindagi apni tarahdar hui jati hai ishq ne aisi bulandi ki odhai chadar ab mohabbat mera kirdar hui jati hai aah ki badli barasti hai sar-e-sham 'nadim' raat ehsas se sarshaar hui jati hai