darmandagon ki aankh se aansu jo Dhal gae

darmandagon ki aankh se aansu jo dhal gae
chashme kisi ke lutf-o-karam ke ubal gae

dali jo us ne ek uchatti hui nazar
khasta-dilan-e-rah-e-mohabbat bahal gae

hum aur bargah-e-risalat-panah mein
mare khushi ke aankh se aansu nikal gae

pahunche jo hum dayar-e-madina mein sar ke bal
sab apne agle pichhle tasawwur badal gae

phir hum the aur rauza-e-aqdas ki jaliyan
arman kya bataun ki kya kya machal gae

qurb-e-huzur dhone laga dil ke sab uyub
baatil tasawwuraat the jitne pighal gae

nazan hai 'tahniyat' karam-e-kirdgar par
bahke jo the nasib wo aakhir sanbhal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close