takhtiyan sab utar di gai hain mere ghar ka kahin pata hi nahin reg-e-biryan pe chal ke aae hain panw mein koi aabla hi nahin zakhm-e-dil ko talash-e-marham thi aur marham kahin mila hi nahin hum ne dastak to di bahut lekin phir koi dar kabhi khula hi nahin zindagi se kabhi bani na meri maut par ikhtiyar tha hi nahin dhup bhi qahr ban ke barsi aur saeban ret se bana hi nahin