darmiyan apne ab wo baat nahin

darmiyan apne ab wo baat nahin
pahle jaise muamlat nahin

sari mahfil pe hai nazar teri
meri jaanib hi iltifat nahin

ishq lahaq hua to ho hi gaya
is musibat se ab najat nahin

ahl-e-majlis salamti tum par
guftugu meri mujh se baat nahin

ai khuda main to bas yahi samjha
main nahin to ye kaenat nahin

aadmi ki ajib fitrat hai
rishte hain aur ta'alluqat nahin

jaane kis ki dua mein hun shamil
aaj rahon mein mushkilat nahin

hai to hai tang rah-e-umr-e-hayat
lakh kahiye ki pul-siraat nahin

dastaken de ke thak gaya 'aqib'
ab ye dil shahr-e-mumkinat nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close