hum ishq ko faqat ek tajraba samajhte hain

hum ishq ko faqat ek tajraba samajhte hain
ise radif nahin qafiya samajhte hain

jo baat hum kisi mahfil mein yun hi bol aae
bahut se log use falsafa samajhte hain

likhe hain apne muqaddar mein itne ishq ki log
hamare sheron ko sab ishqiya samajhte hain

muamlat ki tafhim bhi zaruri hai
bas itni baat to hum shartiya samajhte hain

ghamon ke bich jo dil nam ka jazira hai
hum us jazire ka jughrafiya samajhte hain

na mukhlisana rawayya na walihana suluk
hum aise milne ko ek hadisa samajhte hain

ab apne bich kahan aise log hain 'aqib'
jo sirf baat nahin nazriya samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close