darmiyan-e-jism-o-jaan hai ek ajab surat ki aad mujh ko dil ki dil ko hai meri ananiyat ki aad aa gaya tark-e-khudi ka gar kabhi bhule se dhyan dil ne paida ki har ek jaanib se har surat ki aad dete hain dil ke ewaz wo dard bahr-e-imtihan lete hain nam-e-khuda apni tamaniyyat ki aad nafs-parwar karte hain badnam nam-e-mai-kashi parda-e-pindar mein lete hain kaifiyyat ki aad parda-dari chashm-e-na-mahram se thi madd-e-nazar darmiyan mein dal di hai nur ne hairat ki aad didani jo kuchh hai jalwa dekh chashm-e-pak mein nur ne wahdat mein rah kar li hai kyun kasrat ki aad jab nihan-o-ashkara jalwa-e-jaanana hai sab riya-kari hai sahir khalwat-o-jalwat ki aad