bade shabab pe dard-e-firaq-e-masti hai na ho sharab to pahron ghata barasti hai na shama roti hai aa kar na barq hansti hai main jab se qabr mein hun bekasi barasti hai sune to kaun sune mai-kade mein waiz ki yahan wahi hain jinhen shaghl-e-mai-parasti hai main sakht-jaan nahin khanjar bhi tez hai lekin nigah-e-yas hai qatil ki tez-dasti hai bhare huon ko bhara karte hain karam wale jahan hai sabza ghata bhi wahin barasti hai ghalat hai zer-e-nagin ho ke dawa-e-wusat bas ek halqa-e-khatam faza-e-hasti hai hazar khwahish-e-dil hai magar na mangunga subu-e-mai-kada par waqt-e-tang-dasti hai main sun ke aaya tha aabaadi-e-adam lekin koi nazar nahin aata ye kaisi basti hai chaman na dekh nasheman ko dekh ai bulbul bahaar hi mein kabhi aag bhi barasti hai jalaun shama to aakhir jala ke dekhun kya har ek raat yahan shaghl-e-gham-parasti hai nahin hai dahr mein yar ai dam-zadan 'saqib' bas ek sans mein tai majra-e-hasti hai