dars-e-adab-e-junun yaad dilane wale aa gae phir meri zanjir hilane wale kis tarah khoe gae aks-e-rawan ki surat shahr-e-hairan mein tera khoj lagane wale ghaur se dekh koi hai pas-e-taswir-e-khizan warna kis samt gae rang jamane wale kham-e-mehrab pe sadiyon ki siyah gard bhi dekh taq-e-viran mein lahu apna jalane wale zahr ab zahr hai karta nahin kar-e-tiryak mar gae zahar ko tiryak banane wale fasl-e-be-barg kuchh aisi bhi to be-rang nahin dastan ahd-e-bahaaran ki sunane wale daf-e-gul tut gai dast-e-saba mein lekin raqs karte hi rahe wajd mein aane wale bujh gae shokh darichon mein damakte mahtab so gae raat ki taqdir jagane wale sochta hun ki ye mamura-e-gham ye duniya kis liye tu ne banai hai banane wale