ashaar ki takhliq mein jalta hai jigar kyun yarab mujhe bakhsha hai ye jaan-soz hunar kyun gham ishq ki saughat hai sine se laga le phulon ki tamanna hai to kanton se hazar kyun kuchh had se siwa hain mere gham-khwar wagarna rahti hai mere haal pe yaron ki nazar kyun kal jis ko sar aankhon par bithata tha zamana baitha hai sar-e-rah wo ab khak-basar kyun aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam namnak hain aankhen teri aaj ai gul-e-tar kyun phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uth kar phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyun patthar ke siwa 'chand' yahan kuchh na milega baitha hai sajae hue shishon ka tu ghar kyun