darta hun main aksar kahin aisa na samajh le wo meri tawajjoh ko tamanna na samajh le ye soch ke danista raha us se bahut dur maghrur hai dariya mujhe pyasa na samajh le honton pe hansi hathon mein nashtar hain khabar-dar koi kisi qatil ko masiha na samajh le ab main bhi chatanon ki tarah sina sipar hun tufan-e-hawadis mujhe tinka na samajh le palkon pe 'sharar' ashk sajaya na karo tum jugnu na samajh le koi tara na samajh le