tirgi mein jal uthna chandni mein kho jaana kis tarah hua mumkin paniyon pe so jaana umr-bhar ki chahat ka ek hi sila paya dard ne hamein samjha hum ne dard ko jaana ek rang apna hai raat-rut ki chhanw mein chandni bhi aaegi tum bhi aa ke ro jaana baadalon ke sae mein ye to un ki aadat hai jis ke sar pe suraj ho us ke sath ho jaana