darta rahta hun ham-nashinon mein ek patthar hun aabginon mein baat karna jinhen nahin aati aaj wo bhi hain nukta-chinon mein jo bhanwar ko samajhte hain sahil aise bhi log hain safinon mein mohtasib gin le ungliyon hi par chand hi rind hain kaminon mein khizr guzre the shahr se apne hum bhi the ek rah-binon mein baiat-e-haq ki baat kya karte hath larzan the aastinon mein faiz-e-shahr-e-'anis' se 'salik' sher kahte hain in zaminon mein