har samt udi gard mere shahr-e-guman mein mahsur tamanna hai zamane ke dhuan mein sannate ka jo qissa sunane mein magan hai raqsan tha kabhi shor usi ujde makan mein khushiyon ko badan par jo lapete hue kal tha hai aaj sharabor wahi dard nihan mein madum hua gul ka nishan sahn-e-chaman se khushbu hai magar ab bhi basi baad-e-rawan mein har khwab ki tabir nazar aai hirasan napaid hua josh-e-junun mard-e-jawan mein farda ki gali mein wo bada kaam karegi ek zid hai khilaune ki jo masum fughan mein guzri hui saat ko palatne mein laga hai kuchh baat nazar aai use kar-e-ziyan mein pur-kaif hui 'sahni' har sans ki aahat mauhum ishaara jo mila waqt-e-giran mein