Darte the usi sabza-e-abai se pahle

darte the usi sabza-e-abai se pahle
chehre pe masen phut padin kai se pahle

phir aankhon ne takhliq ke saman jutae
hum tujh se mile the teri ranai se pahle

sunte hain shuaen hain sadaon se subuk-gam
binai chali jati hai goyai se pahle

aur ab teri parchhain ke charche hain sabhi or
kya dhup khili thi teri angdai se pahle

pachchhim ki hawa le gai pachchhim se hamein dur
purab ki taraf udte the pubai se pahle

himmat se siwa tab nadamat mein hai yaro
hum dub gae pani ki gahrai se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close