hum to hain aasman ke KHasare zamin par

hum to hain aasman ke khasare zamin par
bichhde hue hain is pe hamare zamin par

surat mili na yar mila khakiyon ke bich
rahte hain hum ghata ke sahaare zamin par

wo zulf sham khwab ye cigarette dhuan sharab
baqi bade kharab nazare zamin par

kis se karega ped kati banh ka gila
koi nahin hai jis ko pukare zamin par

jal kar bujhe charagh yahi puchhte mare
kya hum hain is zamin ke sitare zamin par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close