daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama isa-e-murda-dilan yusuf-e-sani sanama tere sadqe meri jaan tujh pe mera dil qurban waris-e-kaun-o-makan fakhr-e-zamani sanama tera har jalwa hai aaina-e-asrar-e-azal teri surat mein hain anwar-e-maani sanama dil ke daghon ko kaleje se laga rakkha hai ki yahi dagh to hain teri nishani sanama tu hi jab qissa-e-gham se mere ghabraata hai phir sune kaun mere gham ki kahani sanama ta-kuja ashk bujhaenge mere dil ki lagi phunke deta hai mujhe soz-e-nihani sanama waqf sajda hai tere dar pe jabin-e-'bedam' qibla-e-dil sanamda kaba-e-jaani sanama