darun-e-jaan ka shagufa jala hua nikla so jo sharar bhi nikla bujha hua nikla chura ke le gai jaane hawa-e-shab kya kya uthe to khwab-daricha khula hua nikla ek arse baad hui khul ke guftugu us se ek arse baad wo kanta chubha hua nikla dhari hi rah gai khwahish nihaal hone ki numu ka daur tha aur dil dukha hua nikla khule pade the sabhi dar makan-e-hasti ke makin khud kahin bahar gaya hua nikla faza-e-jaan mein to ek iztirar tha hi magar jahan-e-dil mein bhi dhadka laga hua nikla ek umr khwab mein guzri thi rang bharte hue khuli jab aankh to manzar dhula hua nikla