na zamin thi hamari na hi aasman hamara mile aap jab hua hai ye jahan jahan hamara bade haq se mere dil pe wo hatheli rakh ke bole ki jahan jahan se dhadka ye wahan wahan hamara use shak tha har pal us ko ye jahan parakh raha hai isi kashmakash mein leta raha imtihan hamara jo zaban khule to rishton ki lagam chhutti hai jise kah diya ho apna wo raha kahan hamara sabhi sath chalne walon ki alag alag thi manzil wahan rukte hain jahan se chala karwan hamara