darwaza-e-hasti se na imlak se nikla paigham-e-wafa khushbu-e-idrak se nikla phir aaj kuredi gai wo khak-e-nasheman phir gauhar-e-maqsud usi khak se nikla har bar mujhe mere muqaddar ne sada di jab bhi koi tara dar-e-aflak se nikla is bar to majnun ka bharam bhi nahin rakkha yun mera junun pairhan-e-chaak se nikla duniya ki zabanon pe rahe khauf ke tale bas haq to mere lahja-e-be-bak se nikla mahsus hua aur bhi hisse hain usi mein ek purza-e-dil jab khas-o-khashak se nikla