tere hasin jism ki phulon mein boss hai go wahm hai ye wahm qarin-e-qayas hai wo ashk jis pe chandni-shab ka libas hai shayad kitab-e-gham ka koi iqtibas hai meri tarah har ek ko hai chahat usi ki phir guzre dinon ke zahar mein kitni mithas hai barson guzar gae magar ab tak nahin bujhi kitni ajib ret ke sahil ki pyas hai meri sada khich is tarah aai hai laut kar mahsus ho raha hai koi aas-pas hai bunden paden to aur ziyaada hui tapish shayad isi ka nam zamin ki bhadas hai apne gharon mein khush hain charaghon ko le ke log kis ko khabar ki raat ka chehra udas hai dhundla sa zard mazi ka ho jis tarah waraq kitna hasin aap ka rang-e-libas hai kis waqt 'kaif' tut ke gir jae kya khabar palkon pe ek halqa-e-zanjir-e-yas hai